Friday, July 17, 2020

Kaam ke Chakkar

Mummy kehti thi apna kaam karo
Teacher kehte the kaam ka gyan dimaag mein bharo 
Dost kehte the kaam ke bajaye mauj karo
Papa kehte the kuch kaam karne ke layak bano

College mein kaha kaam ki field choose karo
Pehle job mein kaha kaam dhyan se seekho
Naye shehron ne kaam peshi hona sikhaya
Akelepan ne kaam mein doobna bataya

Videsh mein kaam ki nayi paribhasha mili
Research mein kaam ki nayi disha mili
Advisor ne kaam ko disruption bataya
Aur shurati success ne kaam ko yaadgar banaya

America mein kaam ke doosre ayam dekhne ko mile
Kaam mein utar aur chadav dono jhelne ko mile
Saath hi kaam ka jeevan yapi hona samajh mein aaya
Aur phir kaam corporate america mein lekar aaya

Microsoft ne kaam ko impact se jodna sikhaya
Naye kaam pakadna aur purane chodna sikhaya
Kaam ko interesting banana aur sell karna sikhaya
Apne kaam ka samrajya badhana sikhaya

Sehkarmiyon se kaam mein hod rehti hai
Apni team ki kaam mein madad karne ki apeksha rehti hai
Khud ka kaam karne ke liye samay bahumushkil hai
Phir bhi boss kuch bada kaam karne ki umeed karta hai

Research community kehti hai kaam namcheen karo
Industry kehti hai kaam hot topics par karo
Career kehta hai kaam anya companies ko dhyan rakhte hue karo
Aur samaaj kehta hai apne kaam se kisi ka bhala karo

Patni kehti hai kam bahut karte ho
Apna kaam theek se manage nahi karte ho
Bacche poochte hain kam kyon hi karte ho
Dost kehte hain kaam mein kaafi busy rehte ho

Tan kehta hai kaam ek rog hai
Mann kehta hai kaam ek jog hai
Dhan kehta hai kaam se hi mera bhog hai
Aur naseeb kehta hai kaam ek sanjog hai

Sochta hun kaam ke bade chakkar hain
Kuch suljhe kuch uljhe se hai
Anttah Kis kaam ki hai ye duniye 
Kaam ke bina na kuch diya na kuch liya
Sabko apne kaam se kaam hai
Aur phir ek din ram ka naam hai